bollywood songs lyrics, bollywood songs online

hujhuj
Showing posts with label namastey london. Show all posts
Showing posts with label namastey london. Show all posts

Wednesday, 25 July 2007

Yahi Hota hai Pyaar : Namastey London



tera banega woh jo, tera nahi hai
aye dil bata kyun tujko, itna yakin hai
mere dil-e-beqkaar
haan dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
haay
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya

khwaabon mein koyi kyun hai yuun rehta
aye dil tu kyun mujhe hain yeh kehta
woh mera rasta bhi hai, aur woh hi manzil
woh mera sagar bhi hai, aur woh hi saahil
kaisi bata yeh betaabiyaan hain
hum chalte chalte aye kahaan hain
dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
haay
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya

sunta hoon mein teri yeh dastaan
simmte ki ek din to yeh dooriyaan
pal mere tum mein dil koyi nahi hai
tere zidd mein aye dil sadd afreen hai
kyun yeh junoon hai, kya zustju hai
aakhir tujhe kyun, yeh aarzoo hai
dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
haay
yahi hota pyaar hai kya
mere dil-e-beqkaar
yahi hota pyaar hai kya
Download Google Player for faster streaming of Videos .Get Google Player Now.

This site Loads Faster in FireFox. Get Free FireFox Now.

0 Comments:

Post a Comment

Viraaniya : Namastey London



Lyrics:
mohabat meri jo pyaasi huyi
to gehri meri udaasi huyi
zindagi - 2 mein hain tumbin
yeh viraaniya - 3
zindagi - 2 mein hain tumbin
yeh viraaniya - 3

sune sune sare raste hain
suni manzil hai jaana
suni suni si meri aankhein hai
suna yeh dil hai jaaana
jaana - 3
mujhe ghrre hai sirf tanhaiyaan
mere dil mein hain sirf khaamoshiyan
zindagi - 2 mein hain tumbin
yeh viraaniya - 3

saans jab luun to
seene mein jaisi saans chubhti hai jaana
dil abb tak ummid ki ik faans chubhti hai janaa
jaana - 3
khwaab sare mere, tutne hi ko hai
tinke bhi haaath se, chutne hi ko hai
zindagi - 2 mein hain tumbin
yeh viraaniya - 5
Download Google Player for faster streaming of Videos .Get Google Player Now.

This site Loads Faster in FireFox. Get Free FireFox Now.

0 Comments:

Post a Comment

Rafta Rafta : Namastey London



Lyrics:
rafta rafta...
(rafta rafta dekho dekho kya hogaya
rafta rafta
rafta rafta dekho dekho kya hogaya
rafta dekho rafta ) - 2

(rafta rafta jo tha begana tera huwa
rafta rafta mera afsaana tera huwa
dil ko naaz tere ishq se aashina) - 2
rafta rafta jo tha begana tera huwa
rafta rafta dekho dekho kya hogaya
rafta rafta
rafta rafta dekho dekho kya hogaya
rafta dekho rafta

tu hai meri subahon mein
tu hai meri raaton mein
tujse aur mein kya kahoon
tu agar hai to, mein hoon
tu vhaum hai mera, ya ke tera jaadu hai
lagta hai ki phoolon mein, sirf teri khusboo hai
dil ko naaz tere ishq se aashina
rafta rafta jo tha begana tera huwa
rafta rafta mera afsaana tera huwa

lamha lamha tere bin zindagi adhuri thi
tujhko paa ke jaana hain, kitni tu jaroori thi
chaand taare dekhon to, yeh nazar bhi aata hai
kehkashaa ke raste mein, tera ghar bhi aata hain
dil ko naaz tere ishq se aashina
rafta rafta jo tha begana tera huwa
rafta rafta mera afsaana tera huwa
dil ko naaz tere ishq se aashina
(rafta rafta dekho dekho kya hogaya
rafta rafta
rafta rafta dekho dekho kya hogaya
rafta dekho rafta) - 2
Download Google Player for faster streaming of Videos .Get Google Player Now.

This site Loads Faster in FireFox. Get Free FireFox Now.

0 Comments:

Post a Comment

Main Jahaan Rahoon : Namastey london



(main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai) - 2

kisi se kahoon
ke nahi kahoon
yeh jo dil ki baat hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai - 3
main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai

kahin to dil mein yaadon ki
ek suli gad jaati hai
kahin har ek tasveer bhahut hi dhondhali pad jati hai
koi nayi duniya ke naye rango mein khush rehta hai
koi sab kuch paake bhi yeh mann hi mann kehta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai - 3

kahin to beete kal ki jadein
dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhage tute to malaayen bhikar jaati
koi dil mein jagah nayi, baaton ke liye rakhta hai
koi apni palko par yaadon ke diye rakhta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai - 3
Download Google Player for faster streaming of Videos .Get Google Player Now.

This site Loads Faster in FireFox. Get Free FireFox Now.

0 Comments:

Post a Comment

Dilruba : Namastey London


Lyrics:
(dilruba dilnashin
maahrooh maahzabeen) - 2
humnawaab humnashin
hum tere humko yakin
(tera mera jo pyaar hai
pyaar yeh zordaar hai - 2) - 2
dilruba dilnashin
maahrooh maahzabeeen
humnawaab humnashin
hum tere humko yakin
(tere mera jo pyaar hai
pyaar yeh zordaar hai - 2) - 2
dilruba dilnashin
mahrooh mahzabeeen

tu hi hain meri yadoon ki baaahoon mein
tu hi hai mere sapano ki raaho mein
tu hi to hai jisne dil ko
di hai yeh kahaniyaan
tu hi to hai jisne
dil ko di hai yeh nishaaniyan
(tere mera jo pyaar hai
pyaar yeh zordaar hai - 2) - 2
dilruba dilnashin
maahrooh maahzabeeen
humnawaab humnashin
hum tere humko yakin

namaste
london london london

tu hi to meri haar hai jeet hai
tu hi to mere pyaar ki jeet hai
tu hi zindagi hai, zindagi ki har khushi hai
tuhi sirf tu hi zindagi mein har ghadi hai
(tere mera jo pyaar hai
pyaar yeh zordaar hai - 2) - 2
dilruba dilnashin
maahrooh maahzabeeen
humnawaab humnashin
hum tere humko yakin
(tere mera jo pyaar hai
pyaar yeh zordaar hai - 2) - 4
Download Google Player for faster streaming of Videos .Get Google Player Now.

This site Loads Faster in FireFox. Get Free FireFox Now.

0 Comments:

Post a Comment

Chakna Chakna : Namastey London


Lyrics:
o o o o...
chakhde fatte...

(tenu ki dil da haal sunaawa
tenu mein itni baat bataawa
tenu mein door kahin lejaawa
tenu mein apni hir banaawa) - 2
(chakna - 3) mein chakna tenu-e-motiyaar
(takna - 3) mein takna tenu mere dildaar
(chakna - 3) mein chakna tenu-e-motiyaar
(takna - 3) mein takna dekhu mere dildaar
(chakna - 3) mein chakna tenu-e-motiyaar
(takna - 3) mein takna tenu mere dildaar

(saari jawaani maine tere naam kardi
apani kahaani maine tere naam kardi) - 2
tu meri aaakhon mein
tu meri saanson mein
tu meri dhadkan mein
tu mere tan mann mein
(he is crazy) for you baby
main deewaana tu deewaani
main mastaana tu mastaani
tu hi jaan hai meri jaana
banti tu kyon hai anjaani
((chakna - 3) mein chakna tenu-e-motiyaar
(takna - 3) mein takna tenu mere dildaar) - 2

you gone show me that you need me boy
take me in your arms and tell me you never leave me boy
never ever ever ever ever

tell me you love me boy
shake me boy meet me boy

(dil tera jo pooche, mein wohi sawaal hoon soni
tu kyon na pooche, tera main mahiwaal ho soni) - 2
tu meri sahiba kahoon mein marhaba
diya dil ko tune naya ek tajurba
(he is crazy) for you baby
tere husn mein hai woh jaadoo
dil pe rehta nahi hai kabu
tu hi tu hai abb to harsu
sun le meri itni baat meri tu
((chakna - 3) mein chakna tenu-e-motiyaar
(takna - 3) mein takna tenu mere dildaar) - 2
Download Google Player for faster streaming of Videos .Get Google Player Now.

This site Loads Faster in FireFox. Get Free FireFox Now.

0 Comments:

Post a Comment

Aanan Fanan : Namastey London


Lyrics:
annan faanan huwa kya se kya
main jaanemaan huwa kya se kya
dhadka dhadka dhadka sa dil
kehta hai yeh fasaana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chaahe tere pass aana

(Javed Akhtar:
ek pal toh mujhe dekhati sharmaayi thi aankhein
aankhon se gujarata huwa muskaan ka saaya
shaayad meri khaamoshi ne hai keh diya tumse
woh raaj jo main tumse kabhi keh nahi paaya) Mehfil version

(annan faanan huwa kya se kya
main jaanemaan huwa kya se kya) - 2
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasaana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chahe tere pass aana
annan faanan huwa kya se kya
yeh jaanemaan huwa kya se kya
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasaana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chaahe tere pass aana
annan faanan huwa kya se kya

Javed Akhtar:
kal kya hoga, ye mat socho
tum ye dekho, ki shaam ke daaman mein kya hai
madham madham si roshaniyon mein, dhun pe machalate jismon par halki si damak
lehraati huyi sandal baahein
balkhaati huyi resham julfein
ye ang ang, ye jhalak jhalak, sheeshon ki khanak
sheeshon ko chhute naazuk labj, jinme shaam ki surkhi hai
hirani si vaishi aankhon mein, anjaane se paigaam basein
ye dekhke inko behake to ilzaam kise
in lamhon ke pyaalon mein jitni masti hai
saari ki saari tum pi lo
is shaam ko ji bharke jilo
kal jo bhi hoga dekhenge

teri mohabbat hi
meri parastish hai
meri tu ho jaaye
meri yeh koshish hai
sun le meri tamanna
tumhe meri hi baana
aye meri neelam pari
dekh meri yeh baahein
dekh le yeh nigaahein
hai kitni pyaar bhari
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasaana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chaahe tere pass aana
annan faanan huwa kya se kya

Javed Akhtar:
mujhko teri aawaaz se khushboo aati hai
aur khushboo mein rang dikhaayi dete hai
tu jab nahi hai tab bhi tu hai saath mere
milon se chhute hai tujhko haath mere
woh jo teri saanson mein hai ghulein huye
kahin rahoon woh geet sunaayi dete hai
baadal, titli, kaliyaan, lehrein, phool, hawaan
ye sab tere roop dikhaayi dete hain
main hoon, tera naam hain, teri baatein hain
har pal dohraata tera afsaana hoon
mujhko to abb hosh nahin hain
tu hi bata, sab kehte hain main tera deewaana hoon

dil jise dhoondhe hai
tu wohi dilkash hai
dil jise maange hain
tu wohi mehmash hai
tujko ek din hain pana
dil ka yeh hain tarana
har subah har shaam hai
tujko hi yaaad karna
teri hi baat karna
mera yehi kaam hai
dhadka dhadka dhadka sa dil
kheta hai yeh fasaana
tadpa tadpa tadpa sa dil
chahe tere pass aana
annan faanan huwa kya se kya
main jaanemaan huwa kya se kya
Download Google Player for faster streaming of Videos .Get Google Player Now.

This site Loads Faster in FireFox. Get Free FireFox Now.

0 Comments:

Post a Comment